ek  raste  kī  kahānī  jo  sunī  paanī  se
ham  bhī  is  baar  nahīñ  bhāge  pareshānī  se
merī  be-jān  sī  āñkhoñ  se  Dhalakte  aañsū
ā.īna  dekh  rahā  hai  baḌī  hairānī  se
mere  andar  the  hazāroñ  hī  akele  mujh  se
maiñ  ne  ik  bhiiḌ  nikālī  isī  vīrānī  se
maat  khaa.e  hue  tum  baiThe  ho  dānā.ī  se
jiit  ham  le  ke  chale  aa.e  haiñ  nādānī  se
varna  miTTī  ke  ghaḌe  jaise  badan  haiñ  saare
ma.arke  sar  hue  sab  jur.at-e-īmānī  se
ā.īna  chupke  se  manzar  vo  churā  letā  hai
tū  sajātā  hai  badan  jab  kabhī  uryānī  se