Raees Warsi

main ek kanch ka paikar wo shaKHs patthar tha

Raees Warsi

Karachi, Sindh, Pakistan

1963

maiñ ek kāñch paikar vo shaḳhs patthar thā

so paash paash to honā mirā muqaddar thā

tamām raat sahar duā.eñ māñgī thiiñ

khulī jo aañkh to sūraj hamāre sar par thā

charāġh-e-rāh-e-mohabbat ban ga.e hote

tamām umr jalnā agar muqaddar thā

fasīl-e-shahr pe kitne charāġh the raushan

siyāh raat pahrā diloñ ke andar thā

agarche ḳhāna-badoshī hai ḳhushbuoñ mizāj

mirā makān to kal raat bhī mo.attar thā

samundaroñ ke safar meñ vo pyaas aalam

ki farsh-e-āb pe ik karbalā manzar thā

isī sabab to baḌhā e'tibār-e-laġhzish-e-pā

hamārā josh-e-junūñ āgahī rahbar thā

jo māhtāb hisār-e-shab-e-siyāh meñ hai

kabhī vo raat ke siine pe misl-e-ḳhanjar thā

maiñ us zamīñ ke liye phuul chun rahā huuñ 'ra.īs'

mirā nasīb jahāñ be-amāñ samundar thā

Top Urdushayar.com