kis  tavaqqo.a  pe  sharīk-e-ġham-e-yārāñ  hoñge
yaad  ham  kis  ko  bhalā  ai  dil-e-nādāñ  hoñge
raunaq-e-bazm  bahut  ab  bhī  suḳhan-dāñ  hoñge
un  meñ  kyā  ham  se  bhī  kuchh  soḳhta-sāmāñ  hoñge
ham  pe  jo  biit  ga.e  biit  ga.ī  biit  ga.ī
kyā  kahīñ  aap  suneñge  to  pashemāñ  hoñge
yaad  ik  ġham  hai  ki  fariyād  fusūñ  hai  ki  junūñ
dard  ke  rishte  haiñ  mushkil  se  numāyāñ  hoñge
tham  ga.e  ashk  ki  āñkhoñ  meñ  chamak  lauT  aa.e
ye  diye  shaam  Dhalegī  to  farozāñ  hoñge
yaas  kī  raat  meñ  har  aas  ne  dam  toḌ  diyā
jaane  kab  sub.h  ke  āsār  numāyāñ  hoñge
tū  salāmat  ki  tirī  bazm  meñ  ai  arz-e-vatan
zindagī  hai  to  kabhī  ham  bhī  ġhazal-ḳhvāñ  hoñge
haañ  kabhī  to  nazar  ā.eñge  'nazar'  vo  galiyāñ
jin  meñ  ḳhurshīd  ka.ī  ab  bhī  ḳhirāmāñ  hoñge