dil  mahv-e-tamāshā-e-lab-e-bām  nahīñ  hai
paiġhām  ba-andāz-e-paiġhām  nahīñ  hai
ai  jān-e-girāñ  sair  tirā  rahbar-o-rahzan
hai  kaun  agar  vaqt-e-subuk-e-gām  nahīñ  hai
jo  tere  dayār-e-ruḳh-o-kākul  meñ  na  guzre
vo  sub.h  nahīñ  hai  vo  mirī  shaam  nahīñ  hai
is  pursish-e-hālāt  ke  andāz  ke  qurbāñ
kis  tarah  kahūñ  maiñ  mujhe  ārām  nahīñ  hai
kyā  baat  hai  ai  talḳhī-e-āzār-e-mohabbat
fihrist-e-shahīdāñ  meñ  mirā  naam  nahīñ  hai
mai-ḳhāne  meñ  aur  shorish-e-ayyām  dar  aa.e
afsos  ki  hāthoñ  meñ  mire  jaam  nahīñ  hai
aksar  lab-e-shā.ir  se  jo  suntā  hai  zamāna
vo  ziist  kī  āvāz  hai  ilhām  nahīñ  hai
ai  mast-e-mai-shauq  sambhāl  apne  subū  ko
duniyā  hai  ye  ḳhum-ḳhāna-e-ḳhayyām  nahīñ  hai
ik  turfa  tamāshā  hai  'nazar'  terī  tabī.at
shā.ir  bhī  hai  aur  shahr  meñ  badnām  nahīñ  hai