fuġhāñ  ke  saath  tire  rāhat-e-qarār  chale
navā-garān-e-vafā  himmatoñ  ko  haar  chale
ye  kyā  ki  phuul  khile  aur  zaḳhm  risne  lage
mile  sukūñ  bhī  agar  bād-e-nau-bahār  chale
ye  multafit  sī  nigāheñ  faroġh-e-jām  ke  saath
chale  ye  daur  chale  aur  bār-bār  chale
hazār  barhamī-e-zulf-e-yār  bhī  dekhī
tujhe  to  kākul-e-gītī  magar  sañvār  chale
ḳhayāl-o-ilm  kā  bhī  mol-tol  hotā  hai
hamāre  ahd  meñ  kyā  kyā  na  kārobār  chale
hayāt  saath  chalī  kā.enāt  saath  chalī
ajiib  shaan  se  kuchh  log  sū-e-dār  chale
vahī  to  the  kabhī  chashm-o-charāg-e-mahfil-e-ġham
jo  be-qarār  se  uTThe  jo  ashk-bār  chale
thake  thake  se  qadam  aur  tavīl  rāh-e-hayāt
musāfirān-e-adam  bojh  sā  utaar  chale
zamīn-e-faiz  sitāre  luTā  rahī  hai  'nazar'
ye  kyā  ki  aap  yahāñ  se  bhī  sogvār  chale