tanhā.ī  milī  mujh  ko  zarūrat  se  ziyāda
paḌhtī  haiñ  kitābeñ  mujhe  vahshat  se  ziyāda
jo  maañg  rahe  ho  vo  mire  bas  meñ  nahīñ  hai
darḳhvāst  tumhārī  hai  zarūrat  se  ziyāda
mumkin  hai  mirī  saañs  ukhaḌ  jaa.e  kisī  pal
ye  rāsta  hai  merī  masāfat  se  ziyāda
aa.e  haiñ  paḌosī  mire  ghar  le  ke  shikāyat
bātoñ  meñ  vo  talḳhī  hai  ki  nafrat  se  ziyāda
ye  atlas  o  kam-ḳhvāb  dikhāte  ho  abas  tum
shā.ir  ko  nahīñ  chāhiye  shohrat  se  ziyāda