dauḌtā  rahtā  huuñ  nā-mālūm  samtoñ  kī  taraf
dekhtā  hargiz  nahīñ  pairoñ  ke  chhāloñ  kī  taraf
bastiyoñ  ke  log  sach  sun  kar  bahut  barham  hue
ab  mirā  uglā  nishāna  ḳhānqāhoñ  kī  taraf
ab  mire  dāman  se  uljhī  haiñ  kaTīlī  jhāḌiyāñ
kyuuñ  nikal  aayā  thā  ghar  se  ḳhār-zāroñ  kī  taraf
saḳht  tanhā.ī  kī  vahshat  se  mujhe  marnā  nahīñ
ghar  se  ghabrā  kar  nikal  paḌtā  huuñ  rāhoñ  kī  taraf
dekhnā  ḳhurshīd-e-ālam-tāb  kā  aalam  ki  phir
DhūñDne  niklā  hai  ḳhud  ko  māh-pāroñ  kī  taraf