badan  pe  ḳharqa-e-tahzīb  phaTne  vaalā  hai
jise  bachā  ke  rakhā  hai  bahut  sambhālā  hai
tumheñ  dikhā.ūñ  maiñ  shahr-e-jadīd  kā  naqsha
ye  DeḌh  iiñT  kī  masjid  hai  ye  shivāla  hai
tamām  raikoñ  meñ  rakkhī  huī  kitāboñ  meñ
tumheñ  ḳhabar  nahīñ  fikr-o-nazar  kā  jaalā  hai
muhīb  añdhere  meñ  raushan  ḳhayāl  logoñ  par
na  jaane  agle  hī  pal  kyā  guzarne  vaalā  hai
jahāñ  bhī  ubhrī  sadā-e-zamīr-e-insānī
jadīdiyat  ke  naqīboñ  ne  maar  Daalā  hai
fazā  meñ  uḌte  hue  aur  laḌkhaḌāte  hue
parind-e-ḳhasta  kā  ik  āḳhirī  sambhālā  hai