Hameed Naseem

hai yak do nafas sair-e-jahan-e-guzran aur

Hameed Naseem

hai yak do nafas sair-e-jahān-e-guzrāñ aur
ai shauq koī rañg-e-nashāt-e-dil-o-jāñ aur
āsūdgī-āmoz ho jab ābla-pā.ī
ho jaatī hai manzil kī lagan dil meñ tapāñ aur
sañg-e-nigah-e-shauq hai yaksānī-e-taġh.īr
har lahza na.ī rut ho bahār aur ḳhizāñ aur
besh-az-nigah-e-kam nahīñ pihnā-e-shab-o-roz
ai ālam-e-imkāñ koī nādīda-jahāñ aur
ye arz o samā nañg haiñ mānind-e-kaf-e-dast
ik dasht ba-andāza-e-chashm-e-nigrāñ aur
taufīq faqat mujh ko huā jāda-e-ehsās
yā qāfile is tiira ḳhalā meñ haiñ ravāñ aur
āgāhi-e-mutlaq jo nahīñ hai mirā maqdūr
ik mohlat-e-fariyād sar-e-kaun-o-makāñ aur
dil vasl kī lazzat kā talabgār hai lekin
takmīl-e-tamannā ġham-e-furqat hai to haañ aur
Top Urdushayar.com