Hameed Naseem

be-karan dariya hun gham ka aur tughyani mein hun

Hameed Naseem

be-karāñ dariyā huuñ ġham kā aur tuġhyānī meñ huuñ
sab hadeñ haiñ phir bhī qaa.em kab se hairānī meñ huuñ
shab kī tanhā.ī meñ mujh ko aisā lagtā hai kabhī
maiñ huuñ rūh-e-zindagī go paikar-e-fānī meñ huuñ
jagmagātī mahfil-e-aflāk merā aks-e-zāt
lau maiñ huuñ anjum kī maiñ sūraj kī tābānī meñ huuñ
subh-gāhāñ dasht o gulshan meñ nasīm-e-narm-mauj
biich dariyā ke bhañvar huuñ aur jaulānī meñ huuñ
sham-e-bazm-e-dil-barāñ hai merī dil-sozī kī zau
maiñ dil-e-āshiq ke ḳhvāboñ kī gul-afshānī meñ huuñ
log kyuuñ is shahr ke itne pareshāñ-hāl haiñ
maiñ ki ḳhush-dil thā sadā kā is pareshānī meñ huuñ
maiñ ki huuñ ik ḳhush-fahm sāda-lauh tifl-e-pīr-sāl
aur phir ziddī bhī huuñ ḳhush apnī nādānī meñ huuñ
kyā ḳhabar merā safar hai aur kitnī duur kā
kāġhzī ik naav huuñ aur tez-rau paanī meñ huuñ
husn-e-kul kā ārzū-mand is tunuk-jānī meñ huuñ
mere qad se jo bahut ūñchā hai us paanī meñ huuñ
Top Urdushayar.com