Hameed Naseem

sawal dil ka sham-e-gham ko aur udas kar gaya

Hameed Naseem

savāl dil kā shām-e-ġham ko aur udaas kar gayā
tire vajūd meñ jo ek maiñ thā vo kidhar gayā
tilism-e-shauq fikr-e-zinda aur karb-e-āgahī
tamām umr kā safar nigāh se guzar gayā
chale to hausla javāñ thā mauj-e-gul thī aarzū
jidhar bhī aañkh uTh ga.ī samāñ nikhar nikhar gayā
kabhī añdherī shab meñ ik muhīb dasht sāmne
kabhī mah-e-tamām saath saath tā-sahar gayā
har ek daur munfarid thā ab bhī dil pe naqsh hai
gayā to yuuñ lagā ki jī kā ek hissa mar gayā
na yaad kī chubhan koī na koī lau malāl kī
maiñ jaane kitnī duur yūñhī ḳhud se be-ḳhabar gayā
nigāh-e-dost dil-navāz bhī girah-kushā bhī thī
khulā jo dil pe zindagī kā bhed jī Thahar gayā
jahāñ vajūd meñ thā ''maiñ'' ab ek aur naam hai
ki merā bigḌā huā kaam us ke lutf se sañvar gayā
vo sail-e-nūr shab kī ibtidā se tā-sahar gayā
dil us ke bal pe apne bahr-e-ġham ke paar utar gayā
Top Urdushayar.com