duā.eñ  māñgne  vāloñ  kā  intishār  hai  kyā
ye  māh-o-sāl  kā  uḌtā  huā  ġhubār  hai  kyā
koī  sabab  hai  ki  yārab  sukūn  hai  itnā
mujhe  ḳhabar  hī  nahīñ  hai  ki  intizār  hai  kyā
agar  ho  duur  to  qaa.em  hai  diid  kā  rishta
agar  qarīb  ho  manzar  to  iḳhtiyār  hai  kyā
yahī  ki  aaj  parindoñ  se  shaam  ḳhālī  hai
yahī  ki  mausam-e-jāñ  kā  bhī  e.atibār  hai  kyā
bahut  dinoñ  se  tabī.at  bujhī  bujhī  sī  hai
agar  hai  kuchh  to  ghaḌī-do-ghaḌī  shumār  hai  kyā