duniyā  hai  tez  dhuup  samundar  hai  jaise  tū
bas  ek  saañs  aur  ki  manzar  hai  jaise  tū
ye  aur  baat  hai  ki  bahut  muqtadir  huuñ  maiñ
hai  dastaras  meñ  koī  to  pal  bhar  hai  jaise  tū
bas  chalte  chalte  mujh  ko  badan  kī  ravish  milī
varna  ye  sard  shaam  bhī  patthar  hai  jaise  tū
kyā  jaane  kis  sadī  kā  takalluf  hai  darmiyāñ
ye  roz  o  shab  kī  dhuul  hī  behtar  hai  jaise  tū