kabhī  azaab  kabhī  ek  tāziyāna  hai
hamārā  duur  guzishta  kā  shāḳhsāna  hai
bas  ek  vāda-e-fardā  pe  log  zinda  haiñ
bas  ek  lamha-e-maujūd  āb-o-dāna  hai
tanāzurāt  yahāñ  to  badalte  rahte  haiñ
tumhārā  nek  ravayya  bhī  mujrimāna  hai
ab  aisī  dhuñd  meñ  mujh  ko  dikhā.ī  kyā  degā
hai  bas  meñ  tiir  na  qaabū  meñ  vo  nishāna  hai
vo  sañg-e-rāh  bhī  taaza  havā  kā  jhoñkā  bhī
kabhī  qayām  kabhī  har  taraf  ravāna  hai