vo  ehtiyāt  kā  aalam  pas-e-savāl  koī
bachā  hai  raat  ke  hamle  se  baal  baal  koī
dikhā.ī  detī  hai  pahle  to  raushnī  ghar  kī
nafī  meñ  sar  ko  hilātā  hai  phir  ḳhayāl  koī
dhaḌak  rahā  hai  duāoñ  kī  raunaqeñ  le  kar
mire  vajūd-e-gurezāñ  meñ  lā-zavāl  koī
mileñge  ḳhvāb  bhī  dīdār  karne  vāloñ  meñ
paḌā  hai  peḌ  kī  chhāñv  meñ  pā.emāl  koī