hausloñ  se  bikhar  bhī  jaatā  huuñ
maiñ  misāloñ  se  Dar  bhī  jaatā  huuñ
zindagī  kā  safar  bhī  jaarī  hai
shaam  hote  hī  ghar  bhī  jaatā  huuñ
ġhaur  se  dekhtā  huuñ  duniyā  ko
rāstoñ  se  guzar  bhī  jaatā  huuñ
haañ  jahāñ  par  savāl  ugte  haiñ
hasb-e-ādat  udhar  bhī  jaatā  huuñ
jhuuT  ke  sach  ke  darmiyān  kabhī
maiñ  takalluf  se  mar  bhī  jaatā  huuñ