apne  hī  ghar  ke  sāmne  huuñ  but  banā  huā
parde  haTe  hue  haiñ  darīcha  khulā  huā
yuuñ  hī  idhar  udhar  kī  sunāte  raho  mujhe
mausam  bahut  udaas  hai  dil  hai  dukhā  huā
āvāz  de  ke  pūchh  lo  kyā  ho  gayā  use
vo  shaḳhs  jā  rahā  hai  bahut  sochtā  huā
kyuuñ  dekhtā  hai  ajnabī  nazroñ  se  vo  mujhe
maiñ  baiThe  baiThe  jaise  koī  dūsrā  huā
harf-e-duā  hai  paas  na  lab  par  shikāyateñ
jo  kuchh  huā  yahāñ  pe  vo  yārab  burā  huā