jumbish-e-mehr  hai  har  lafz  tirī  bātoñ  kā
rañg  uḌtā  nahīñ  āñkhoñ  se  mulāqātoñ  kā
dekhne  aa.e  haiñ  jañgal  meñ  tamāsha  sab  log
in  añdheroñ  meñ  bhaTaktī  huī  barsātoñ  kā
ek  ik  kar  ke  Tapaktī  haiñ  ḳhushī  kī  būñdeñ
kis  liye  phuuT  ke  rotā  hai  dhuāñ  rātoñ  kā
dekhiye  saare  charāġhoñ  kī  laveñ  Duub  ga.iiñ
vaqt  ab  aa  hī  gayā  sar  pe  munājātoñ  kā
dhuul  har-vaqt  uḌāte  haiñ  ufuq  ke  aage
jurm  sābit  hai  havāoñ  ke  khule  hāthoñ  kā