tumhāre  hoñToñ  pe  bas  merā  naam  zinda  rahe
tumhāre  saath  bitā.ī  ye  shaam  zinda  rahe
ḳhudā  kare  ki  ye  niyyat  hī  kaam  aa  jaa.e
havāla  ho  yā  na  ho  merā  kaam  zinda  rahe
mujhe  davām  kī  chāhat  nahīñ  magar  ai  ḳhudā
maiñ  chāhtī  huuñ  ki  merā  kalām  zinda  rahe
ajiib  Dhañg  kī  ye  chaal  chal  gayā  hai  koī
ki  bādshāh  na  ho  aur  ġhulām  zinda  rahe
mirī  ġhazal  ke  sab  ash.ār  chāhe  rad  ho  jaa.eñ
magar  imaam  pe  merā  salām  zinda  rahe
zamāne  bhar  kā  mujhe  hosh  tak  na  ho  'bushrā'
tumhārī  yaad  kā  bas  ek  jaam  zinda  rahe