shahr  ke  shahr  basāte  hue  mar  jaate  haiñ
kār-e-duniyā  ko  chalāte  hue  mar  jaate  haiñ
log  bichhḌeñ  to  basā  lete  haiñ  duniyā  phir  se
ham  to  bas  haath  chhuḌāte  hue  mar  jaate  haiñ
jab  se  tū  raah  kī  dīvār  samajhtā  hai  hameñ
ham  tirī  raah  meñ  aate  hue  mar  jaate  haiñ
chand  chehroñ  ke  liye  diid  bachā  rakkhī  thī
ab  to  ham  palkeñ  bichhāte  hue  mar  jaate  haiñ
jo  tire  naam  se  ash.ār  kahe  the  ham  ne
ham  vo  ash.ār  sunāte  hue  mar  jaate  haiñ
vo  samajhte  haiñ  ki  ham  āñkhoñ  meñ  gum  haiñ  'bushrā'
un  se  ham  nazreñ  milāte  hue  mar  jaate  haiñ