kināre  dariyā  kī  vus.at  kā  dhyān  hote  haiñ
ziyāda  pyaar  se  ham  bad-gumān  hote  haiñ
hameñ  batāyā  gayā  thā  ki  vo  hī  manzil  haiñ
ham  aise  log  ki  jo  be-nishān  hote  haiñ
ye  pyaar  ruuh  kā  saaya  dikhānā  jāntā  hai
jo  lafz  hote  nahīñ  vo  bayān  hote  haiñ
ye  ham  jo  kahte  haiñ  tum  ho  to  sab  hamārā  hai
zarūrateñ  nahīñ  hotīñ  ye  maan  hote  haiñ
mohabbatoñ  meñ  zabāneñ  nahīñ  khulā  kartīñ
jo  pyaar  karte  haiñ  vo  be-zabān  hote  haiñ