dasht  ham  tujh  se  ta.alluq  ko  nibhāte  kaise
ham  bhalā  un  kī  galī  chhoḌ  ke  jaate  kaise
un  kī  āñkhoñ  meñ  koī  aur  basā  thā  shāyad
ham  se  vo  nazreñ  milāte  to  milāte  kaise
un  ke  chehre  pe  kisī  aur  kā  haq  thā  shāyad
ham  to  qadmoñ  se  tavajjoh  ko  haTāte  kaise
merī  hī  jaan  kā  vo  maan  se  haq  māñgtā  thā
paglā  yaar  thā  vo  jaan  bachāte  kaise
us  ne  pūchhā  hī  na  thā  kaun  haiñ  kyuuñ  aa.e  haiñ
ham  bhī  ḳhuddār  the  phir  haal  sunāte  kaise
'bushrā'  ham  apne  kiye  par  bhī  na  pachhtā  paa.e
dil  ko  be-faiz  zamāne  meñ  lagāte  kaise