tohmat-e-ishq  jab  uThā  lī  hai
phir  kyuuñ  insāf  kā  savālī  hai
aaj  maiñ  ḳhud  se  bahs  kartī  rahī
aur  ab  merā  zehn  ḳhālī  hai
terā  koī  na  thā  misāliya  yaar
bevafā.ī  bhī  to  misālī  hai
hāfiza  maiñ  ne  aaj  jaane  diyā
ik  tirī  yaad  hī  bachā  lī  hai
ham  haiñ  ikkīsvīñ  sadī  ke  log
ham  ne  ḳhud  meñ  jagah  banā  lī  hai
'bushrā'  ḳhud  hī  dukhāyā  dil  apnā
apne  hī  dil  se  phir  duā  lī  hai