Daud Aurangabadi

agar wo gul-badan mujh pas ho jawe to kya howe

Daud Aurangabadi

agar vo gul-badan mujh paas ho jaave to kyā hove

zamīn-e-dil meñ tuḳhm-e-ishq bo jaave to kyā hove

sanam tujh zulf ke zunnār ke rishte meñ aa zāhid

apas ke sub.ha-gardānī kuuñ kho jaave to kyā hove

pilā jām-e-sharāb-e-aish vo sāqī-e-bazm-ārā

ġhubār-e-ġham kuuñ lauh-e-dil suuñ ho jaave to kyā hove

bayāñ kartā huuñ maiñ tujh zulf-e-mushkīñ sanam nis din

ḳhutan meñ gar suḳhan mere jaave to kyā hove

sadā mashq-e-junūn-e-ishq meñ rahtā hai saudā.ī

agar 'dā.ūd' zisht-ḳhū jaave to kyā hove

Top Urdushayar.com