le  dām-e-nigāh-e-yār  aayā
karne  kuuñ  mujhe  shikār  aayā
kyuuñ  aave  na  mujh  badan  suuñ  ḳhush  baas
mujh  bar  meñ  vo  gul-izār  aayā
ḳhat  dekh  tere  ruḳh  uupar  āġhāz
ā.īna  uupar  ġhubār  aayā
jis  baaj  thī  dil  kuuñ  be-qarārī
vo  dil  kā  mire  qarār  aayā
zāhid  ne  apas  kā  zohd  taqvā
kūche  meñ  tere  bisār  aayā
niklā  hai  raqīb-e-gul-badan  saat
le  gul  kī  panāh  ḳhaar  aayā
mujh  parda-e-dil  pe  saaz  kar  ġham
ho  naala  merā  sitār  aayā
shabnam  nahīñ  har  sahar  ai  'dā.ūd'
tujh  ġham  suuñ  gul-e-ashk-bār  aayā