Parveen Kumar Ashk

sawan mein ghabra jata hai

Parveen Kumar Ashk

1951

sāvan meñ ghabrā jaatā hai

dil merā sahrā jaatā hai

alif samajh meñ aa jaave to

sab kuchh paḌhnā aa jaatā hai

barf ik ik aañsū kar

dariyā vajd meñ aa jaatā hai

asl safar hai vahāñ se aage

jahāñ talak rasta jaatā hai

laḌkī mele meñ tanhā thī

soch ke dil baiThā jaatā hai

jab maiñ jañgal ho jaatā huuñ

mor nāchne aa jaatā hai

shāyad us ne dastak sun

dekho dar khultā jaatā hai

niind ke biin bajāte 'ashk'

bistar meñ saañp aa jaatā hai

Top Urdushayar.com