mujh  saath  sair-e-bāġh  kuuñ  ai  nau-bahār  chal
bulbul  hai  intizār  meñ  ai  gul-izār  chal
karne  kuuñ  qatl  āshiq-e-jāñ-bāz  ke  sanam
le  teġh-e-nāz  haath  kamar  rakh  kaTār  chal
karne  nazāra  baaġh  kā  niklā  hai  gul-badan
barjā  hai  har  chaman  suuñ  gar  aave  bahār  chal
us  gul-badan  suuñ  zauq  ham-āġhosh  hai  agar
ho  chaak  siina  gul  ke  naman  ban  ke  haar  chal
us  sham.a-rū  ke  vasl  kā  gar  tujh  kuuñ  shauq  hai
mahfil  meñ  āshiqāñ  kī  ho  parvāna-vār  chal
āḳhir  asīr-e-umr  kā  hai  is  jahāñ  suuñ  kuuch
is  vāste  hai  dam  kī  jaras  meñ  pukār  chal
gar  azm  hai  buzurgī  is  aalam  meñ  hue  husūl
a.amāl-nāma  jag  meñ  apas  kā  sañvār  chal
gar  yaar  ke  hai  vasl  kī  ne.amat  kī  ishtihā
har  shai  suuñ  rah  uu  paas  vahāñ  lag  nahār  chal
avval  ḳhudī  ke  ghar  kuuñ  ai  'dā.ūd'  toḌ  saT
mai-ḳhāna-e-visāl  meñ  tab  sidh-bisār  chal