darpan  diyā  huuñ  dil  kā  maiñ  us  dilrubā  ke  haath
darpan  meñ  vo  piyā  hai  vo  darpan  piyā  ke  haath
us  qibla-rū  kī  dekh  ke  mehrāb-e-abr  vaañ
saf  bāñdh  khul  rahe  haiñ  mizha  jiyūñ  duā  ke  haath
har  vaqt  be-hijāb  ho  kyūñkar  kare  nigāh
hai  iḳhtiyār  chashm-e-piyā  kā  hayā  ke  haath
kis  rañg  suuñ  lage  hai  kaf-e-pā  kuuñ  shoḳh  kī
dil  ḳhuun  ho  rahā  hai  hamārā  hinā  ke  haath
gulgūñ  qabā  na  maar  taġhāful  kī  teġh  suuñ
hai  qatl  āshiqāñ  kā  tirī  yak  adā  ke  haath
barjā  hai  barg-e-gul  suuñ  kafan  us  kuuñ  hue  nasīb
jo  kui  huā  shahīd  vo  gul-gūñ  qabā  ke  haath
hai  chaak  chaak  ġhuncha-e-dil  aaj  aah  suuñ
jyuuñ  chāk-e-pairahan  kuuñ  kiyā  gul  sabā  ke  haath
kahte  haiñ  āshiqāñ  yū  mirā  haal  dekh  kar
shāyad  tuuñ  dil  diyā  hai  kisī  bevafā  ke  haath
darkār  niiñ  hai  mujh  kuuñ  kabūtar  kī  qāsidī
bhejā  huuñ  gul-badan  kuuñ  maiñ  naama  sabā  ke  haath