Mohammad Saleem Sagar

wo aankh ajab rau mein baha le gai hum ko

Mohammad Saleem Sagar

vo aañkh ajab rau meñ bahā le ga.ī ham ko

ik mauj thī sāhil se uThā le ga.ī ham ko

kab shauq se jaatā hai koī rāh-e-junūñ par

vo to tirī nazroñ ḳhatā le ga.ī ham ko

is shahr meñ ham jurm-e-mohabbat ke liye aa.e

aur dasht meñ taqsīr-e-vafā le ga.ī ham ko

ham kaun qalandar the ki milte ḳhudā se

par ik but-e-kāfir duā le ga.ī ham ko

ik ziist hameñ jis ne kahīñ nahīñ rakkhā

ik maut ki siine se lagā le ga.ī ham ko

le jaatā thā har yaar hameñ apnā samajh kar

phir yuuñ huā ik roz qazā le ga.ī ham ko

ḳhushbū tire āñchal thī tere badan

sañg apne bahar-hāl uḌā le ga.ī ham ko

ham dil the aur ik dil ke liye aa.e the 'sāgar'

par mauj-e-ġham-e-dahr bahā le ga.ī ham ko

Top Urdushayar.com