bū-e-gul  bād-e-sabā  laa.ī  bahut  der  ke  ba.ad
mere  gulshan  meñ  bahār  aa.ī  bahut  der  ke  ba.ad
chhup  gayā  chāñd  to  jalvoñ  kī  tamannā  ubhrī
ārzūoñ  ne  lī  añgḌā.ī  bahut  der  ke  ba.ad
nargisī  āñkhoñ  meñ  ye  ashk-e-nadāmat  tauba
mauj-e-mai  shīshoñ  meñ  lahrā.ī  bahut  der  ke  ba.ad
sehn-e-gulshan  meñ  hasīñ  phuul  khile  the  kab  se
ham  hue  ḳhud  hī  tamāshā.ī  bahut  der  ke  ba.ad
mehr-o-shabnam  meñ  mulāqāt  huī  vaqt-e-sahar
zindagī  maut  se  Takrā.ī  bahut  der  ke  ba.ad
mai-e-gul  baT  ga.ī  āsūda  laboñ  meñ  pahle
tishna  kāmoñ  meñ  sharāb  aa.ī  bahut  der  ke  ba.ad
zehn  bhaTkā  kiyā  dasht-e-ġham-e-daurāñ  meñ  'salām'
shab-e-ġham  niiñd  mujhe  aa.ī  bahut  der  ke  ba.ad