tarab-āfrīñ  hai  kitnā  sar-e-shām  ye  nazārā
tire  hoñT  par  shafaq  hai  mirī  aañkh  meñ  sitārā
kiyā  maiñ  ne  jab  kisī  ke  ruḳh-o-zulf  se  kinārā
kabhī  sub.h  ne  sadā  dī  kabhī  shaam  ne  pukārā
gul-o-ġhuncha  asl  meñ  haiñ  tirī  guftugū  kī  shakleñ
kabhī  khul  ke  baat  kah  dī  kabhī  kar  diyā  ishārā
tirā  naam  le  ke  jaage  tujhe  yaad  kar  ke  so.e
yuuñ  hī  saarī  umr  kaaTī  yuuñ  hī  kar  liyā  guzārā
tujhe  bāġhbāñ  hai  ḳhatra  usī  barq  kī  chamak  se
kabhī  tū  ne  ye  na  sochā  ki  hai  gul  bhī  ik  sharārā
ye  adam  vajūd  kyā  hai  tirā  naaz  hai  musavvir
kisī  naqsh  ko  miTāyā  kisī  naqsh  ko  ubhārā
bhalā  ham  'salām'  āḳhir  na  asiir  hoñge  kab  tak
ki  jahāñ  hai  daam  un  kā  vahīñ  āshiyāñ  hamārā