tābānī-e-ruḳh  le  kar  tum  sāmne  jab  aa.e
mahsūs  huā  aisā  ham  chāñd  se  Takrā.e
barkhā  kā  ye  mausam  bhī  kis  darja  suhānā  hai
aahoñ  kī  idhar  badlī  zulfoñ  ke  udhar  saa.e
āgāh  na  the  pahle  ham  ishq  kī  rāhoñ  se
phūloñ  ke  ishāroñ  par  kāñToñ  meñ  chale  aa.e
hoñToñ  ke  tabassum  par  sau  bijliyāñ  raqsāñ  haiñ
bikhrāte  haiñ  vo  sho.ale  dāman  koī  phailā.e
ālām-e-zamāna  se  badlā  huuñ  maiñ  kis  had  tak
maiñ  apne  ko  pahchānūñ  ā.īna  koī  laa.e
ai  dost  mujhe  tujh  se  ik  daur  kī  nisbat  hai
tārīk  mirī  rāteñ  gesū  tire  kajlā.e
ye  gul  bhī  haiñ  dāġh-e-dil  hai  farq  'salām'  itnā
kuchh  rah  ga.e  gulshan  meñ  kuchh  dil  meñ  chale  aa.e