phir  zabān-e-ishq  chashm-e-ḳhūñfishāñ  hone  lagī
phir  hadīs-e-dil  sar-e-mahfil  bayāñ  hone  lagī
phir  kisī  kī  shoḳh  nazroñ  ne  kiyā  jhuk  kar  salām
phir  mohabbat  sāz-e-dil  pe  naġhma-ḳhvāñ  hone  lagī
phir  kisī  kī  yaad  aa.ī  phir  hue  aañsū  ravāñ
phir  sitāroñ  kī  chamak  dil  par  garāñ  hone  lagī
phir  tasavvur  meñ  koī  aane  lagā  hai  bār-bār
phir  mirī  ummīd  kī  duniyā  javāñ  hone  lagī
phir  chaman  meñ  ġhuncha-e-nauras  ne  liiñ  añgḌā.iyāñ
phir  surūd-afzā  bahār-e-gulistāñ  hone  lagī
phir  pukārā  chāñd-tāroñ  ne  mujhe  shām-e-firāq
phir  nigāh-e-shauq  nazr-e-āsmāñ  hone  lagī
phir  kisī  kā  dāman-e-rañgīñ  hai  merā  haath  hai
phir  dil-e-pur-shauq  kī  hasrat  ayaañ  hone  lagī
phir  samāyā  hai  mirī  nazroñ  meñ  vo  māh-e-mubīñ
phir  nigāh-e-dil  javāb-e-āsmāñ  hone  lagī
phir  ghaTā  uThne  lagī  tauba  ke  phir  laale  paḌe
phir  ḳhushāmad  terī  ai  pīr-e-muġhāñ  hone  lagī
phir  chalā  dīvāna  'faizī'  kū-e-jānāñ  kī  taraf
phir  junūn-e-ishq  kī  hālat  ayaañ  hone  lagī