Faizi Nizam Puri

tasawwur mein koi aaya sukun-e-qalb-o-jaan ho kar

Faizi Nizam Puri

tasavvur meñ koī aayā sukūn-e-qalb-o-jāñ ho kar
mohabbat muskurātī hai bahār-e-jāvedāñ ho kar
chaman meñ jab kabhī jaatā huuñ un kī yaad aatī hai
tamannā chuTkiyāñ letī hai pahlū meñ javāñ ho kar
dil-e-vahshat-asar ko hosh jab aayā to dekhā hai
havā ke dosh par uḌtā hai dāman dhajjiyāñ ho kar
sanobar sā hai qad nargis sī āñkheñ phuul sā chehra
vo mere sāmne phirte haiñ aksar gulistāñ ho kar
sharāb-o-sher-o-naġhma ke sivā kyā chāhiye 'faizī'
balā se zindagī jaa.e matā-e-rā.egāñ ho kar
Top Urdushayar.com