tasavvur  meñ  koī  aayā  sukūn-e-qalb-o-jāñ  ho  kar
mohabbat  muskurātī  hai  bahār-e-jāvedāñ  ho  kar
chaman  meñ  jab  kabhī  jaatā  huuñ  un  kī  yaad  aatī  hai
tamannā  chuTkiyāñ  letī  hai  pahlū  meñ  javāñ  ho  kar
dil-e-vahshat-asar  ko  hosh  jab  aayā  to  dekhā  hai
havā  ke  dosh  par  uḌtā  hai  dāman  dhajjiyāñ  ho  kar
sanobar  sā  hai  qad  nargis  sī  āñkheñ  phuul  sā  chehra
vo  mere  sāmne  phirte  haiñ  aksar  gulistāñ  ho  kar
sharāb-o-sher-o-naġhma  ke  sivā  kyā  chāhiye  'faizī'
balā  se  zindagī  jaa.e  matā-e-rā.egāñ  ho  kar