kuchh  zindagī  meñ  lutf  kā  sāmāñ  nahīñ  rahā
dil  aisā  bujh  gayā  koī  armāñ  nahīñ  rahā
vo  josh-e-be-ḳhudī  kā  hai  aalam  ki  āj-kal
zindāñ  meñ  ham  nahīñ  haiñ  ki  zindāñ  nahīñ  rahā
vo  dil  hī  kyā  ḳhalish  hī  na  ho  jis  meñ  dard  kī
vo  gul  hī  kyā  jo  zīnat-e-dāmāñ  nahīñ  rahā
har  inqalāb  vaqt  ke  sāñche  meñ  Dhal  gayā
markaz  pe  apne  ab  koī  insāñ  nahīñ  rahā
har  ek  apnā  ḳhuun  piye  jā  rahā  hai  aaj
insān  is  zamāne  meñ  insāñ  nahīñ  rahā
hotī  hai  ab  tarannum-e-dilkash  pe  vaah  vaah
bazm-e-suḳhan  meñ  koī  suḳhan-dāñ  nahīñ  rahā
laayā  hai  us  ko  khīñch  ke  shauq-e-adab  yahāñ
'faizī'  kabhī  bhī  daad  kā  ḳhvāhāñ  nahīñ  rahā