Faizi Nizam Puri

koi tasawwur mein jalwa-gar hai bahaar dil mein sama rahi hai

Faizi Nizam Puri

koī tasavvur meñ jalva-gar hai bahār dil meñ samā rahī hai
nafas nafas gungunā rahā hai nazar nazar muskurā rahī hai
jhukī jhukī sī nigāh-e-qātil hazār ġhamze dikhā rahī hai
na jaane jaagā hai baḳht kis kā ye kis ko bismil banā rahī hai
nahīñ hai ab tāb-e-zabt baaqī kahīñ maiñ tauba na toḌ baiThūñ
tirā ishāra nahīñ ye saaqī to kyuuñ ghaTā muskurā rahī hai
na pūchh hālat marīz-e-ġham kī ghaḌī meñ kuchh hai ghaḌī meñ kuchh hai
tabīb tashvīsh meñ paḌā hai qazā khaḌī muskurā rahī hai
mirī shab-e-ġham kā pūchhnā kyā ajiib pesh-e-nazar hai manzar
ye zindagī jhilmilā rahī hai ki niiñd tāroñ ko aa rahī hai
ye har adā pā.emāl ho kar bhī dil ko hai zauq-e-pā.emālī
qadam qadam par tirī javānī ajiib fitne jagā rahī hai
havā kuchh aisī chalī hai 'faizī' tamīz apnoñ kī ab hai mushkil
mirī tamannā bhī kuchh ḳhafā hai vafā bhī dāman chhuḌā rahī hai
Top Urdushayar.com