koī  tasavvur  meñ  jalva-gar  hai  bahār  dil  meñ  samā  rahī  hai
nafas  nafas  gungunā  rahā  hai  nazar  nazar  muskurā  rahī  hai
jhukī  jhukī  sī  nigāh-e-qātil  hazār  ġhamze  dikhā  rahī  hai
na  jaane  jaagā  hai  baḳht  kis  kā  ye  kis  ko  bismil  banā  rahī  hai
nahīñ  hai  ab  tāb-e-zabt  baaqī  kahīñ  maiñ  tauba  na  toḌ  baiThūñ
tirā  ishāra  nahīñ  ye  saaqī  to  kyuuñ  ghaTā  muskurā  rahī  hai
na  pūchh  hālat  marīz-e-ġham  kī  ghaḌī  meñ  kuchh  hai  ghaḌī  meñ  kuchh  hai
tabīb  tashvīsh  meñ  paḌā  hai  qazā  khaḌī  muskurā  rahī  hai
mirī  shab-e-ġham  kā  pūchhnā  kyā  ajiib  pesh-e-nazar  hai  manzar
ye  zindagī  jhilmilā  rahī  hai  ki  niiñd  tāroñ  ko  aa  rahī  hai
ye  har  adā  pā.emāl  ho  kar  bhī  dil  ko  hai  zauq-e-pā.emālī
qadam  qadam  par  tirī  javānī  ajiib  fitne  jagā  rahī  hai
havā  kuchh  aisī  chalī  hai  'faizī'  tamīz  apnoñ  kī  ab  hai  mushkil
mirī  tamannā  bhī  kuchh  ḳhafā  hai  vafā  bhī  dāman  chhuḌā  rahī  hai