ġham-e-jānāñ  ke  sivā  kuchh  hameñ  pyārā  na  huā
ham  kisī  ke  na  hue  koī  hamārā  na  huā
kyā  usī  kā  hai  vafā  nām-e-mohabbat  hai  yahī
mehrbāñ  ham  pe  kabhī  vo  sitam-ārā  na  huā
laakh  tūfān-e-havādis  ne  qadam  thaam  liye
merī  ġhairat  ko  palaTnā  bhī  gavārā  na  huā
dil  vahī  dil  hai  haqīqat  kī  nazar  meñ  ai  dil
sard  jis  dil  meñ  mohabbat  kā  sharārā  na  huā
DhūñDhtā  aa.egā  kal  ahl-e-mohabbat  ko  yahī
ġham  nahīñ  aaj  zamāna  jo  hamārā  na  huā
ahl-e-duniyā  ne  masarrat  hī  masarrat  chāhī
ham  ko  is  ġham  ke  sivā  kuchh  bhī  gavārā  na  huā
jaan  dī  hai  dil-e-ḳhuddār  ne  kis  mushkil  se
aaj  bālīñ  pe  vo  ḳhud-bīn-o-ḳhud-ārā  na  huā
aañkh  sū-e-haram-o-dair  kabhī  uTh  jaatī
ishq  kī  raah  meñ  ye  bhī  to  gavārā  na  huā
ḳhaak  chhānī  chaman-o-dasht  kī  barsoñ  'faizī'
aah  taskīn-e-nazar  koī  nazārā  na  huā