tumhāre  paas  raheñ  ham  to  maut  bhī  kyā  hai
magar  jo  duur  kaTe  tum  se  zindagī  kyā  hai
jab  uTh  ke  chal  diye  tum  tīrgī  umaD  aa.ī
jo  tum  na  ho  to  charāġhoñ  kī  raushnī  kyā  hai
kuchh  aise  phuul  bhī  guzre  haiñ  merī  nazroñ  se
jo  khil  ke  bhī  na  samajh  paa.e  zindagī  kyā  hai
bas  un  kī  yaad  ke  ham  paañv  chuum  lete  haiñ
hameñ  ḳhabar  nahīñ  merāj-e-bandagī  kyā  hai
kabhī  jo  gosh-bar-āvāz  ho  ke  us  ko  suno
tumheñ  pata  bhī  chale  sāz-e-ḳhāmushī  kyā  hai
mirī  nigāh  ne  kyā  kyā  na  ḳhvāb  dekhe  haiñ
tirī  nigāh  ne  ik  baat  sī  kahī  kyā  hai
hamīñ  ne  zulmat-e-hastī  meñ  dil  jalā.e  haiñ
ye  ham  samajhte  haiñ  darmān-e-tīrgī  kyā  hai
ubhar  rahī  hai  jo  rah  rah  ke  dil  kī  dhaḌkan  meñ
vo  aarzū  hai  ki  hai  us  kī  bebasī  kyā  hai
ḳhizāñ-nasīb  hoñ  nazreñ  jo  ahl-e-gulshan  kī
to  phir  bahār  ke  jalvoñ  kī  tāzgī  kyā  hai
jahāñ  meñ  ye  kabhī  majbūr  hai  kabhī  muḳhtār
hai  ek  sho.abada  'āzād'  aadmī  kyā  hai