Azad Gulati

aaj tak phirta raha main tujh mein hi khoya hua

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
aaj tak phirtā rahā maiñ tujh meñ hī khoyā huā
tujh se bichhḌā huuñ to ḳhud se mil liyā achchhā huā
zindagī kī chilchilātī dhuup meñ aisā huā
muddatoñ ham par na terī yaad kā saayā huā
dil se shāyad terā ġham bhī ab judā hone ko hai
phir rahā huuñ in dinoñ ḳhud se bhī maiñ uljhā huā
tum chamaktī car phūloñ kī mahak ik ajnabī
aise lagtā hai ye manzar hai mirā dekhā huā
reza reza ho gayā maiñ to ne jab āvāz dī
terī ḳhāmoshī se thā maiñ is qadar TuuTā huā
kitnī yādeñ āñsuoñ meñ thartharā kar rah ga.iiñ
us ne jab pūchhā kaho 'āzād' tum ko kyā huā
Top Urdushayar.com