umr  bhar  chalte  rahe  ham  vaqt  kī  talvār  par
parvarish  paa.ī  hai  apne  ḳhuun  hī  kī  dhaar  par
chāhne  vaale  kī  ik  ġhalatī  se  barham  ho  gayā
faḳhr  thā  kitnā  use  ḳhud  pyaar  ke  me.aar  par
raat  gahrī  merī  tanhā.ī  kā  sāgar  aur  phir
terī  yādoñ  ke  sulagte  diip  har  mañjdhār  par
shaam  aa.ī  aur  sab  shāḳhoñ  kī  galiyāñ  so  ga.iiñ
maut  kā  saayā  sā  mañDlāne  lagā  ashjār  par
ḳhalvat-e-shab  meñ  ye  aksar  sochtā  kyuuñ  huuñ  ki  chāñd
nuur  kā  bosa  hai  goyā  raat  ke  ruḳhsār  par
sāl-e-nau  aatā  hai  to  mahfūz  kar  letā  huuñ  maiñ
kuchh  purāne  se  calender  zehn  kī  dīvār  par
zindagī  āzād  pahle  yuuñ  kabhī  tanhā  na  thī
aadmī  bahtā  thā  yūñhī  vaqt  kī  raftār  par