Azad Gulati

bahut lamba safar tapti sulagti KHwahishon ka tha

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
bahut lambā safar taptī sulagtī ḳhvāhishoñ kā thā
magar saayā hamāre sar pe guzrī sā.atoñ kā thā
saroñ pe haath apne ghar kī bosīda chhatoñ kā thā
magar mahfūz sā manzar hamāre āñganoñ kā thā
kisī bhī sīdhe raste kā safar miltā use kyūñ-kar
ki vo masdūd ḳhud apne banā.e dā.eroñ kā thā
kabhī hañste hue aañsū kabhī rotī huī ḳhushiyāñ
karishma jo bhī thā saarā hamārī hī hisoñ kā thā
ḳhud apnī kāvishoñ se ham ne apnī qismateñ likkhīñ
magar kuchh haath in meñ bhī hamāre dushmanoñ kā thā
na.e rishte muqaddas ḳhvāb se āvāz dete the
magar aaseb sā dil par guzishta rābtoñ kā thā
kise miltī najāt 'āzād' hastī ke masā.il se
ki har koī muqayyad āb-o-gil ke silsiloñ kā thā
Top Urdushayar.com