bahut  lambā  safar  taptī  sulagtī  ḳhvāhishoñ  kā  thā
magar  saayā  hamāre  sar  pe  guzrī  sā.atoñ  kā  thā
saroñ  pe  haath  apne  ghar  kī  bosīda  chhatoñ  kā  thā
magar  mahfūz  sā  manzar  hamāre  āñganoñ  kā  thā
kisī  bhī  sīdhe  raste  kā  safar  miltā  use  kyūñ-kar
ki  vo  masdūd  ḳhud  apne  banā.e  dā.eroñ  kā  thā
kabhī  hañste  hue  aañsū  kabhī  rotī  huī  ḳhushiyāñ
karishma  jo  bhī  thā  saarā  hamārī  hī  hisoñ  kā  thā
ḳhud  apnī  kāvishoñ  se  ham  ne  apnī  qismateñ  likkhīñ
magar  kuchh  haath  in  meñ  bhī  hamāre  dushmanoñ  kā  thā
na.e  rishte  muqaddas  ḳhvāb  se  āvāz  dete  the
magar  aaseb  sā  dil  par  guzishta  rābtoñ  kā  thā
kise  miltī  najāt  'āzād'  hastī  ke  masā.il  se
ki  har  koī  muqayyad  āb-o-gil  ke  silsiloñ  kā  thā