jo  ġham  meñ  jalte  rahe  umr-bhar  diyā  ban  kar
bujhā  ga.ī  hai  unheñ  maut  ab  havā  ban  kar
vo  ḳhāmushī  jo  tirī  bazm  ne  hameñ  baḳhshī
ḳhalā-e-zehn  meñ  gūñjī  hai  ik  sadā  ban  kar
jo  tū  ne  mujh  ko  ġham-e-lā-zavāl  baḳhshā  thā
vo  zindagī  meñ  rahā  merā  rahnumā  ban  kar
vo  jin  ke  lams  se  tū  khil  ke  phuul  bantā  thā
vo  ab  bhaTakte  haiñ  dar  par  tire  sabā  ban  kar
jab  un  kī  bazm  se  lauTe  to  ḳhud  ko  pahchānā
vahāñ  se  aa.e  ham  'āzād'  kyā  se  kyā  ban  kar