Azad Gulati

Dub kar KHud mein kabhi yun be-karan ho jaunga

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
Duub kar ḳhud meñ kabhī yuuñ be-karāñ ho jā.ūñgā
ek din maiñ bhī zamīñ par āsmāñ ho jā.ūñgā
reza reza Dhaltā jaatā huuñ maiñ harf o saut meñ
rafta rafta ik na ik din maiñ bayāñ ho jā.ūñgā
tum bulāoge to aa.egī sadā-e-bā-gasht
vo bhī din aa.egā jab suunā makāñ ho jā.ūñgā
tum haTā lo apne ehsānāt kī parchhā.iyāñ
mujh ko jiinā hai to apnā sā.ebāñ ho jā.ūñgā
ye sulagtā jism Dhal jā.egā jab barfāb meñ
maiñ badalte mausamoñ kī dāstāñ ho jā.ūñgā
muntazir sadiyoñ se huuñ 'āzād' us lamhe kā jab
roz-e-raushan kī tarah ḳhud par ayaañ ho jā.ūñgā
Top Urdushayar.com