Azad Gulati

tere qadmon ki aahaT ko tarsa hun

Azad Gulati

Mianwali, Punjab, Pakistan

1935
tere qadmoñ kī aahaT ko tarsā huuñ
maiñ bhī terā bhūlā huā ik rastā huuñ
biite lamhoñ ke jhoñke jab aate haiñ
pal do pal ko maiñ phir se khil uThtā huuñ
mujh se muzhda na.ī rutoñ kā pāoge
yaaro maiñ is peḌ kā antim pattā huuñ
shāyad tum bhī ab na mujhe pahchān sako
ab maiñ ḳhud ko apne jaisā lagtā huuñ
aaj ke kaale saa.e kal tak phaileñge
mere bachcho maiñ is baat se Dartā huuñ
tum bhī kaise DhūñD sakoge ab mujh ko
maiñ ḳhud apne-āp se ojhal rahtā huuñ
sāyoñ kī ḳhvāhish ne mujhe jalāyā hai
ab maiñ in ke naam se tapne lagtā huuñ
mujh se mil kar kis ko yaqīn ab aa.egā
maiñ bhī terā TuuTā huā ik rishta huuñ
Top Urdushayar.com