tere  qadmoñ  kī  aahaT  ko  tarsā  huuñ
maiñ  bhī  terā  bhūlā  huā  ik  rastā  huuñ
biite  lamhoñ  ke  jhoñke  jab  aate  haiñ
pal  do  pal  ko  maiñ  phir  se  khil  uThtā  huuñ
mujh  se  muzhda  na.ī  rutoñ  kā  pāoge
yaaro  maiñ  is  peḌ  kā  antim  pattā  huuñ
shāyad  tum  bhī  ab  na  mujhe  pahchān  sako
ab  maiñ  ḳhud  ko  apne  jaisā  lagtā  huuñ
aaj  ke  kaale  saa.e  kal  tak  phaileñge
mere  bachcho  maiñ  is  baat  se  Dartā  huuñ
tum  bhī  kaise  DhūñD  sakoge  ab  mujh  ko
maiñ  ḳhud  apne-āp  se  ojhal  rahtā  huuñ
sāyoñ  kī  ḳhvāhish  ne  mujhe  jalāyā  hai
ab  maiñ  in  ke  naam  se  tapne  lagtā  huuñ
mujh  se  mil  kar  kis  ko  yaqīn  ab  aa.egā
maiñ  bhī  terā  TuuTā  huā  ik  rishta  huuñ