sāhil  pe  ruk  ke  sū-e-samundar  na  dekhiye
bāhar  se  apne  aap  kā  manzar  na  dekhiye
apne  vajūd  hī  pe  na  guzrīñ  ka.ī  shokūk
saa.e  ko  apne  qad  ke  barābar  na  dekhiye
jaage  to  mahz  ret  hī  pā.eñge  har  taraf
gar  ho  sake  to  ḳhvāb  meñ  sāgar  na  dekhiye
apne  hī  sar  ke  zaḳhm  kā  kuchh  kījiye  ilaaj
aayā  hai  kis  taraf  se  ye  patthar  na  dekhiye
yakjā  na  karne  aa.egā  koī  tamām  umr
ḳhush-fahmiyoñ  se  ḳhud  meñ  bikhar  kar  na  dekhiye
phir  yuuñ  na  ho  ki  apnā  badan  ajnabī  lage
behtar  hai  is  ke  ḳhol  se  bāhar  na  dekhiye
'āzād'  jī  Darā.egā  parchhā.iyoñ  kā  ḳhauf
vīrāñ  nazar  se  koī  bhī  manzar  na  dekhiye