karb  hare  mausam  kā  tab  tak  sahnā  paḌtā  hai
patjhaḌ  meñ  to  paat  ko  āḳhir  jhaḌnā  paḌtā  hai
kab  tak  auroñ  ke  sāñche  meñ  Dhalte  jā.eñge
kisī  jagah  to  ham  ko  āḳhir  uḌnā  paḌtā  hai
sirf  añdhere  hī  se  diye  kī  jañg  nahīñ  hotī
tez  havāoñ  se  bhī  is  ko  laḌnā  paḌtā  hai
sahī-salāmat  aage  baḌhte  rahne  kī  ḳhātir
kabhī  kabhī  to  ḳhud  bhī  pīchhe  haTnā  paḌtā  hai
sher  kaheñ  to  aql-o-junūñ  kī  sarhad  par  ruk  kar
lafzoñ  meñ  jazboñ  ke  nagoñ  ko  jaḌnā  paḌtā  hai
jīvan  jiinā  itnā  bhī  āsān  nahīñ  'āzād'
saañs  saañs  meñ  reza  reza  kaTnā  paḌtā  hai